Ek makaan ki marammat ke dauran mazdooron ko ghar ke teh-khaane ki deewaron mein chhupa hua khazana mila hai jis mein sone ki eentein aur sone ke sikke shamil hain aur un ki maaliyat taqreeban 90 lakh Euro (yani 2 arab 89 karod Pakistani rupaye) bataiyi ja rahi hai.
Maqaami media ke mutabiq yeh waqia Mashriqi Flanders mein pesh aaya, jahan mazdoor naye sewerage pipe bichhane ke liye makaan mein drilling kar rahe the. Isii dauran unhein deewaron ke andar se sone ki eentein aur sikke mile.
Khazana milne ke baad yeh sawaal paida ho gaya hai ki is sone ka haqdaar kaun hoga?
Mumkina taur par khazana daryaaft karne wale mazdooron aur makaan ki maalik falaahi tanzeem (charity organization), dono ka is par haq ho sakta hai.
Police ne waqiye ki tahqeeqat shuru kar di hain aur logon ko khabardaar kiya hai ki wo mazeed khazana talaash karne ke liye tameerati maqaam par na jaayein. Police ke mutabiq makaan ki mukammal talaashi li ja chuki hai aur milne wala tamaam sona mahfooz maqaam par muntaqil kar diya gaya hai.
Maqaami police ne awaam se aapeel ki hai ki wo mazeed sona talaash karne ke liye zer-e-tameer makaan ka rukh na karein. Police ne apne Facebook profile ki tasweer bhi sone ke sikke ki tasweer se tabdeel kar di hai.
Police ka kehna hai ki unhein umeed hai ki yeh khazana ‘sahi jagah’ pahuchega aur logon ki zindagiyon mein musbat tabdeeli layega.

Belgium ke qanoon ke mutabiq is khazane ke asl maalik ke paas ise waapas lene ke liye 5 saal ka waqt hai. Taham tahqeeqat karne wale maqaami prosecutor ka kehna hai ki abhi tak yeh maloom nahin ho saka ki asl maalik kaun hai.
Agar 5 saal ke dauran koi shakhs saamne nahin aata toh qanoon ke mutabiq kisi doosre shakhs ki milkiyat wali jagah se milne wala chhupa hua khazana ise talaash karne wale aur jaaidad ke maalik ke darmiyan taqseem kiya ja sakta hai.
Taham yeh qanoon sirf isii soorat mein laagu hoga, jab yeh saabit na ho ki yeh sone ke sikke aur eentein kisi mujrimana sargarmi se munsaliq hain.
Ab builders aur falaahi idare, dono ko 1,823 din tak is intezaar mein rehna hoga ki koi shakhs is khazane ki milkiyat ka daawa karta hai ya nahin. Agar koi shakhs is khazane par daawa lekar saamne aata hai toh qanoon ke mutabiq ise is se apna taalluq saabit karna hoga. Agar wo apna daawa saabit karne mein nakaam rehta hai toh yeh sona ise talaash karne wale aur jaaidad ke maalik ke darmiyan taqseem ho jayega.




