Sat, Sep 5, 2026

Islami Jamhuriya Iran Ka Hairan kun Safar

📅 September 4, 2026 👁️ 11 Views
Islami Jamhuriya Iran Ka Hairan kun Safar

Dosto, kya aap ne kabhi aise mulk ke bare mein suna hai jahan ek taraf hazaron saal purani Islami tehzeeb zinda ho aur doosri taraf isi zameen par jadeed fashion, azadi aur mazhabi culture ka aisa toofan ho jo poori duniya ko hairan kar de?

Aisa mulk jahan raat ke sannate mein bhi bazaar chamakte rehte hain. Jahan ki galiyon mein zafran ki khushboo, Irani chai ki mehak aur kababon ka dhuan har aane wale ko apni taraf kheenchta hai.

Jahan ki auratein parde mein bhi hain, taleem yafta bhi, karobari khatoon bhi aur social media star bhi. Jahan ek taraf masajid mein azaan goonj rahi hoti hai to doosri taraf naujawan nasal azadi aur naye nazariyat ki baat karti nazar aati hai.

Aur dosto, isi mulk mein ek aisa qanoon bhi maujood hai jise sun kar shayad aap hairan reh jayein. Aisi shadi jo sirf chand ghanton, chand dinon ya chand mahino ke liye ki jati hai.

Ji haan dosto, aaj hum aap ko le chalenge Islami Jamhuriya Iran ke hairan kun safar par. Lekin yaad rakhein, yeh sirf ek post nahi balki ek aisi haqeeqat hai jo duniya ki nazron se aksar chhupi rehti hai.

Aaj hum aap ko batayenge Iran ki rangeen street markets, Tehran ki chamakti sarkein, Qom shehar ki posheeda duniya, Irani larkiyon ki zindagi ka andaaz, wahan ki tehzeeb, wahan ki haqeeqat aur woh sab kuch jo aam tor par media aap ko nahi dikhata.

Aap janenge ke aakhir Iran ko duniya ka sab se taqatwar Shia mulk kyun kaha jata hai? Kyun yahan ki auratein nose surgery sab se zyada karwati hain? Kyun yahan lakhon zaireen har saal aate hain? Aur kyun Iran aaj bhi poori duniya ki tawajjo ka markaz bana hua hai?

Lekin dosto, post ka asal raaz abhi baqi hai. Kyun ke aage chal kar hum aap ko Iran ke us pehlu se bhi roshan karenge jis ke baare mein sun kar shayad aap hairan reh jayein.

Is liye post ko aakhir tak zaroor parhein aur agar aap hamare paksindh par naye hain to abhi subscribe karle, taa-ke duniya bhar ke aise hairan kun mulkon ki dilchasp haqeeqatein aap tak sab se pehle pohanchti rahein.

Iran Ki Qadeem Tareekh

Iran Ki Qadeem Tareekh

Iran Ki Qadeem Tareekh

Dosto, Iran sirf ek mulk nahi balki ek aisi sarzameen hai jis ki tareekh hazaron saal par muheet hai. Yeh woh mulk hai jahan har shehar ke andar ek alag kahani chhupi hui hai.

Kahin barf posh pahaar hain, kahin sunsaan sehra, kahin qadeem mohalle, to kahin jadeed aasman chhooti imaratein. Aur yahi wajah hai ke Iran ko duniya ki qadeem tareen tehzeebon mein shumar kiya jata hai.

Iran taqreeban 16 lakh murabba kilometer raqbe par phaila hua hai aur raqbe ke lihaz se duniya ka 17waan sab se bara mulk mana jata hai.

Is ke maghrib mein Iraq aur Turkey, shumal mein Armenia, Azerbaijan aur Bahr-e-Caspian hain. Mashriq mein Afghanistan aur Pakistan, jabke janub mein Khaleej-e-Fars aur Bahr-e-Oman waqay hain.

Isi jughrafiyai ahmiyat ki wajah se Iran sadiyon se duniya ki tawajjo ka markaz bana raha hai.

Tehran: Qadeem Aur Jadeed Duniya Ka Imtizaj

Qadeem Aur Jadeed Duniya Ka Imtizaj

Qadeem Aur Jadeed Duniya Ka Imtizaj

Dosto, Iran ka dar-ul-hukoomat Tehran aisa shehar hai jahan qadeem tehzeeb aur jadeed taraqqi ek saath nazar aati hain.

Raat ke waqt jab Tehran ki roshniyan jal uthti hain to yun lagta hai jaise poora shehar sitaron se bhar gaya ho. Yahan ki sarkein, metro nizam, bare bare shopping malls aur khoobsurat imaratein dekh kar shayad aap yaqeen na karein ke yeh wohi Iran hai jise aksar media sirf pabandiyon aur siyasat ke tanazur mein dikhata hai.

Iran ki abadi taqreeban 9 crore ke qareeb hai. Aur hairan kun baat yeh hai ke yahan ki abadi ka bara hissa naujawanon par mushtamil hai. Isi liye Iran ko naujawanon ka mulk bhi kaha jata hai.

Yahan ke naujawan taleem yafta hain, technology se jure hue hain aur duniya mein badalte hue rujhanat se achhi tarah waqif hain.

Iran Ka Mazhab Aur Zaban

Dosto, Iran mein aksariyat Shia Musalmanon ki hai. Isi wajah se ise duniya ka sab se bara Shia mulk kaha jata hai.

Yahan ki sarkari zaban Farsi hai. Lekin mukhtalif ilaqon mein Kurdi, Azari, Arabi aur Balochi zabanen bhi boli jati hain.

Farsi zaban ki mithaas aur lehja itna khoobsurat hai ke sunne wala foran mutasir ho jata hai.

Iran Ki Maeeshat

Iran ki maeeshat ka bara hissa tel aur qudrati gas se wabasta hai. Khaleej-e-Fars mein duniya ke bare tel ke zakhaair mojood hain aur Iran rozana lakhon barrel tel nikalta hai.

Lekin dosto, hairan kun baat yeh hai ke itne wasail hone ke bawajood Iran ne sakht pabandiyon ka bhi saamna kiya hai. Is ke bawajood yahan ke log bohat mehnati hain aur apne mulk se bepanah mohabbat karte hain.

Yahan taleem ko bohat ahmiyat di jati hai. Iran ki universities mein lakhon talaba zair-e-taleem hain aur kai shobon mein khawateen mardon se bhi aage nikal chuki hain.

Khaas tor par medical, engineering aur arts mein Irani khawateen ne bari kamyabiyan hasil ki hain.

Iran: Art, Shayari Aur Saqafat

Dosto, Iran sirf masajid aur mazhabi maqamat ka mulk nahi balki yeh art, shayari, moseeqi aur saqafat ka bhi markaz hai.

Yeh woh sarzameen hai jahan Maulana Rumi, Hafiz Shirazi aur Saadi jaise azeem shuarah paida hue.

Yahan ki deewaron, bazaaron aur purani imaraton mein aaj bhi sadiyon purani tehzeeb ki khushboo mehsoos hoti hai.

Lekin dosto, Iran ki asal kahani abhi shuru hui hai. Kyun ke aage hum aap ko le chalenge Iran ki un galiyon aur bazaaron mein jahan zindagi kabhi nahi soti.

Iran Ke Bazaar Aur Raat Ki Zindagi

Iran Ke Bazaar Aur Raat Ki Zindagi

Iran Ke Bazaar Aur Raat Ki Zindagi

Dosto, ab waqt aa gaya hai Iran ke un bazaaron aur galiyon mein dakhil hone ka jahan zindagi din se zyada raat mein jaagti hai.

Jab aap Tehran, Mashhad, Shiraz ya Isfahan ki galiyon mein qadam rakhte hain to har taraf rang, roshni aur khushboon ka ek ajeeb sa jadoo mehsoos hota hai.

Aisa lagta hai jaise waqt ek saath purani tehzeeb aur jadeed duniya ke beech safar kar raha ho.

Iran ke bazaar sirf khareed-o-farokht ki jagah nahi balki yeh mulk ki rooh samjhe jate hain.

Yahan ke qadeem bazaaron ki tang galiyan, chhaton par bani khoobsurat mehraabein, haath se bane Irani kaleen aur dukanon se uthti zafran aur itr ki khushboo har kisi ko apni taraf mutawajjah kar deti hai.

Tehran ka Grand Bazaar duniya ke mashhoor tareen bazaaron mein se ek hai.

Yahan kapre, zevarat, masaale, khushk mewe, kaleen, jootay, Irani itr aur haath se bani be-shumar cheezein milti hain.

Bazaar mein chalte hue aap ko har chand qadam ke baad chai peene wale nazar aayenge, jahan log Irani chai ke saath lambi baatein karte dikhai dete hain.

Iran Mein Khawateen Aur Fashion

Iran Mein Khawateen Aur Fashion

Iran Mein Khawateen Aur Fashion

Dosto, Iran ke bazaaron ki sab se dilchasp baat yahan ki khawateen hain. Aksar khawateen akele ya apni dostoon ke saath shopping karti nazar aati hain.

Bohat si khawateen apni dukanein chala rahi hoti hain. Koi zevarat bech rahi hoti hai, koi makeup ki cheezein, to koi haath se bani hui ashya.

Un ke andaaz mein ek khaas aitmaad bhi hota hai aur ek khaas Irani style bhi.

Yahan aap ko ek ajeeb imtizaj dekhne ko milta hai. Kuch larkiyan mukammal hijab mein hoti hain, jabke kuch sirf halka sa scarf liye jadeed fashion mein nazar aati hain.

Lekin ek baat har jagah mushtarik hai aur woh hai Irani khawateen ka fashion sense.

Dosto, Iran ki larkiyan apne libaas, makeup aur khaas tor par baalon ke style par bohat dhyan deti hain.

Aur shayad aap yeh jaan kar hairan reh jayein ke Iran duniya ke un mumalik mein shamil hai jahan naak ki surgery bohat zyada karwai jati hai.

Yahan aksar naujawan larkiyon, balki mardon ki naak par bhi plastic surgery karwai jati hai. Kabhi kabhi un ke chehre par patti bandhi nazar aati hai jo is baat ki alamat hoti hai ke unhon ne haal hi mein surgery karwai hai.

Iran Ka Street Food

Iran Ka Street Food

Iran Ka Street Food

Dosto, ab thora Iran ke street food ki baat karte hain. Iran ki galiyon mein chalte hue har jagah kababon ki khushboo phaili hoti hai.

Chelo Kebab, Kabideh Kebab, Falooda Shirazi, Irani sandwich, Falafel aur garam naan yahan ke mashhoor khane hain.

Aur maze ki baat yeh hai ke bohat se chhote food stalls khawateen bhi chalati hain.

Yeh sab dekh kar aadmi hairan reh jata hai kyun ke duniya mein aksar Iran ki jo tasveer dikhayi jati hai, haqeeqat mein woh kaafi mukhtalif nazar aati hai.

Yahan ke log khush-akhlaq hain, mehmaan nawaaz hain aur ajnabi logon se bhi mohabbat se pesh aate hain.

Apne shehar aur mulk ka naam comment section mein zaroor likhein taa-ke humein bhi maloom ho sake ke hamare dekhne wale duniya ke kin kin hisson mein mojood hain.

Nikah-e-Muta

Nikah-e-Muta

Nikah-e-Muta

Lekin dosto, Iran ki yeh chamakti hui duniya sirf ek pehlu hai. Kyun ke isi mulk ke andar ek aisi haqeeqat bhi chhupi hui hai jis ke baare mein sun kar shayad aap hairan reh jayein.

Ek aisa qanoon aur ek aisi riwayat jis par aaj bhi poori duniya mein behas hoti hai.

Dosto, ab hum Iran ke us pehlu ki taraf barhne wale hain jis ke baare mein duniya bhar mein sab se zyada baat ki jati hai.

Ek aisa maamla jise kuch log mazhabi ijazat kehte hain, kuch waqt ki zaroorat samajhte hain aur kuch ise aurton ke istihsal ki shakal qarar dete hain.

Ji haan dosto, hum baat kar rahe hain Nikah-e-Mutah ki.

Iran mein mutah ek aisa waqti nikah hai jis ki muddat pehle se tay kar li jati hai. Yeh chand ghante, chand din, chand mahine ya hatta ke kai saalon tak bhi ho sakta hai.

Muddat khatam hote hi yeh talluq khud-ba-khud khatam ho jata hai aur is ke liye khaas tor par talaq ki zaroorat nahi parti.

Dosto, Shia fiqh ke mutabiq mutah ko jaiz samjha jata hai aur isi wajah se Iran mein yeh qanooni aur mazhabi tor par qabil-e-qubool hai.

Is nikah mein mard aur aurat dono ki razamandi zaroori hoti hai, jabke mehr bhi pehle se tay kiya jata hai.

Qom: Iran Ka Mazhabi Markaz

Qom: Iran Ka Mazhabi Markaz

Qom: Iran Ka Mazhabi Markaz

Lekin dosto, hairat ki baat yeh hai ke Iran ka shehar Qom is hawale se bhi mashhoor hai.

Yeh shehar sirf mazhabi markaz hi nahi balki Shia Islami taleem ka bhi aham markaz hai. Yahan har saal bohat se zaireen aur talaba aate hain.

Qom ek aisa shehar hai jahan bare bare mazhabi madaris hain aur bare bare ulema deeni taleem dete hain. Hazrat Fatima Masooma ka mazaar bhi yahin mojood hai.

Har saal lakhon zaireen is muqaddas maqam par hazri dene aate hain.

Lekin isi shehar ke baare mein yeh bhi kaha jata hai ke yahan mutah, yani aarzi nikah, bhi kiya jata hai.

Baaz log ise gunahon se bachne ka zariya kehte hain, khaas tor par aise naujawan jo shadi nahi kar sakte ya woh log jo safar mein hote hain.

Jabke doosri taraf bohat se log is nizam par sakht tanqeed karte hain. Insani huqooq ki tanzeemein aur kai mazhabi ulema kehte hain ke is ka ghalat istemal aurton ke istihsal ki wajah ban sakta hai.

Dosto, Iran mein is mauzoo par aara do hisson mein munqasim hain. Kuch log ise mazhabi azadi samajhte hain, jabke kuch ise muashrati masle ke tor par dekhte hain.

Lekin ek baat wazeh hai ke yeh mauzoo aaj bhi Iran ke andar aur bahar shadeed behas ka hissa bana hua hai.

Riwayat Aur Jadeed Soch Ki Kashmakash

Aur dosto, yahi woh maqam hai jahan Iran ki asal kashmakash shuru hoti hai. Ek taraf sakht Islami riwayatein, doosri taraf jadeed soch.

Ek taraf mazhabi qawaneen, to doosri taraf azadi ki aawazein.

Aaj Iran ki naujawan nasal khaas tor par social media se bohat mutasir ho rahi hai.

Bohat si larkiyan hijab ke khilaf awaaz uthati nazar aati hain, jabke doosri taraf lakhon khawateen aaj bhi hijab ko apni izzat aur shanakht samajhti hain.

Iran is waqt sirf siyasi ya maashi jang nahi lar raha balki yeh ek nazriyati kashmakash se bhi guzar raha hai. Riwayat aur jadeediyat ki kashmakash, mazhab aur azadi ki behas, aur shayad yahi wajah hai ke aaj poori duniya ki nazrein Iran par jami hui hain.

Qom Aur Masjid-e-Jamkaran

Qom Aur Masjid-e-Jamkaran

Qom Aur Masjid-e-Jamkaran

Dosto, ab hum pohanch chuke hain Iran ke is shehar mein jise Ahl-e-Tashayu ka roohani dar-ul-hukoomat kaha jata hai.

Aisa shehar jahan ki fiza mein ek khaas sukoon paya jata hai. Jahan din raat zaireen ka hujoom laga rehta hai aur jahan har gali, har masjid aur har imarat ek mazhabi dastaan sunati nazar aati hai.

Ji haan dosto, hum baat kar rahe hain Iran ke mashhoor shehar Qom ki. Qom Tehran se taqreeban 150 kilometer janub mein waqay hai.

Yeh ek tareekhi aur mazhabi shehar hai. Yeh sirf Iran nahi balki poori Shia duniya ka ek bara ilmi aur mazhabi markaz samjha jata hai.

Duniya bhar se hazaron talaba yahan deeni taleem hasil karne aate hain. Pakistan, Hindustan, Iraq, Lebanon aur deegar kai mumalik ke talaba Qom ki bari bari Hawza Ilmiyah mein taleem hasil karte nazar aate hain.

Dosto, Qom ki sab se mashhoor jagah Hazrat Fatima Masooma ka Roza-e-Mubarak hai. Yeh maqam Ahl-e-Tashayu ke liye intehai muqaddas samjha jata hai.

Har saal lakhon zaireen is mazaar par hazri dene aate hain. Jab raat ke waqt sunehri gumbad roshniyon mein jagmagata hai to yeh manzar dekhne walon ko hairan kar deta hai.

Lekin dosto, Qom ka ek aur mashhoor mazhabi maqam Masjid-e-Jamkaran hai.

Shia aqaaid ke mutabiq yeh masjid Hazrat Imam Mehdi se mansub hai aur bohat se log aqeeda rakhte hain ke har Mangal ki raat Imam Mehdi yahan tashreef late hain.

Isi wajah se har Mangal hazaron log is masjid ki taraf rawana hote hain. Log dua mangte hain, nafl ada karte hain aur apni hajatein kaghaz par likh kar masjid ke makhsoos maqam par rakhte hain.

Yeh manzar itna hairat angez hota hai ke aadmi khud ko kisi aur duniya mein mehsoos karta hai.

Qom Ki Rat Aur Sohan

Qom Ki Rat Aur Sohan

Qom Ki Rat Aur Sohan

Dosto, Qom ki galiyan din ke waqt nisbat-an pur-sukoon lagti hain. Lekin raat ke waqt yahan ki roshni aur raunaq barh jati hai.

Chhote chhote bazar, Irani chai khane, mazhabi kitabon ki dukaanein aur zaireen se bhare hotel har taraf nazar aate hain.

Yeh shehar apne mashhoor Sohan ke liye bhi duniya bhar mein jana jata hai. Sohan ek khaas Irani mithai hai jo zafran, pista aur ghee se banti hai.

Qom aane wala taqreeban har shakhs yeh mithai bataur tohfa zaroor khareedta hai.

Dosto, Qom mein zindagi ek ajeeb imtizaj rakhti hai. Ek taraf mazhabi mahaul, doosri taraf jadeed zindagi ke asaar.

Yahan aap ko mukammal chadar ya hijab mein khawateen bhi nazar aayengi aur jadeed Irani style mein naujawan larkiyan bhi.

Lekin sab se hairan kun bat yeh hai ke is shehar ke bare mein mukhtalif dawe kiye jate hain ke yahan Sunni Musalmanon ki abadi bohat kam hai. Qom ko aaj bhi Shia Islam ke sab se mazboot markazon mein shumar kiya jata hai.

Dosto, Qom sirf ek shehar nahi balki ek aisa maqam hai jahan mazhab, taleem, siyasat aur saqafat ek doosre se jure hue mehsoos hote hain.

Iran Mein Khawateen Ki Zindagi

Iran Mein Khawateen Ki Zindagi

Iran Mein Khawateen Ki Zindagi

Lekin dosto, Iran ka safar abhi baqi hai. Ab hum aap ko dikhayenge Iran ki woh haqeeqat jo duniya bhar ke media mein sab se zyada zair-e-behas rehti hai.

Irani khawateen ki azadi, hijab ke khilaf ehtijaj, social media ki jang aur woh badalta hua Iran jise dekh kar shayad aap hairan reh jayein.

Dosto, agar Iran ko bahar se dekha jaye to aksar logon ke zehan mein ek sakht Islami mulk ki tasveer banti hai. Aisa mulk jahan har aurat mukammal hijab mein ho, jahan qawaneen intehai sakht hon aur jahan azadi ki gunjaish bohat kam ho.

Lekin jab aap haqeeqat mein Iran ki sarkon par nikalte hain to ek bilkul mukhtalif manzar samne aata hai.

Tehran, Shiraz aur Isfahan jaise bare shehron mein aaj ki naujawan nasal tezi se badal rahi hai. Social media, internet, maghribi filmein aur jadeed fashion ne Irani muashre par gehra asar dala hai.

Aaj Iran ki bohat si larkiyan riwayati andaaz ki bajaye jadeed fashion ko tarjih deti hain. Woh stylish kapre pehenti hain, halka sa scarf leti hain aur apni alag pehchan banana chahti hain.

Dosto, Iran mein khawateen sirf gharon tak mehdood nahi. Woh doctor bhi hain, engineer bhi, professor bhi, businesswoman bhi aur social media influencer bhi.

Iran ki universities mein larkiyon ki tadaad kai shobon mein larkon se zyada hai.

Yahan khawateen apne businesses chalati hain, beauty salons kholti hain, online brands banati hain aur bari bari companyon mein bhi kam kar rahi hain.

Hijab Aur Ehtijaj

Hijab Aur Ehtijaj

Hijab Aur Ehtijaj

Lekin dosto, is ke sath ek aur pehlu bhi hai. Iran mein hijab ab bhi qanoonan zaroori hai. Aur yahi woh masla hai jis ne pichhle chand salon mein poore mulk ko hila kar rakh diya hai.

Kai naujawan larkiyon ne social media par hijab ke khilaf awaz buland ki. Sarkon par ehtijaj hue, videos viral huin aur duniya bhar ke media ne Iran ko apni nazron mein le liya.

Bohat sari khawateen kehti hain ke kapron ka intikhab un ka zaati haq hona chahiye, jabke doosri taraf lakhon Irani auratein aaj bhi hijab ko apni izzat, iman aur pehchan samajhti hain.

Dosto, yahi woh kashmakash hai jo aaj ke Iran ko do mukhtalif sochon mein taqseem karti nazar aati hai.

Ek taraf woh log jo Islami inqilab aur riwayat ko bachana chahte hain, aur doosri taraf nai nasal jo zyada azadi aur jadeed zindagi ki khwahish rakhti hai.

Lekin hairan kun bat yeh hai ke in ikhtilafaat ke bawajood Irani log apne mulk se behad mohabbat karte hain.

Mehmaan nawaaz hain, taleem yafta hain aur apni saqafat par fakhr karte hain.

Iran Ki Raten

Iran ki ratein khas tor par bohat munfarid hoti hain. Kai shehron mein cafes raat der tak khule rehte hain.

Naujawan doston ke sath baith kar chai peete hain, moseeqi sunte hain aur lambi guftagu karte hain.

Aisa manzar dekh kar shayad aap ko yaqeen hi na aaye ke aap ek aise mulk mein hain jahan mazhabi qawaneen ka gehra asar hai.

Dosto, Iran aisa mulk hai jo ek hi waqt mein do mukhtalif duniyaon mein ji raha hai. Ek duniya mazhab, riwayat aur inqilab ki hai, aur doosri duniya jadeediyat, social media aur badalti soch ki.

Aur shayad yahi wajah hai ke Iran aaj bhi poori duniya ke liye ek muamma bana hua hai.

Koi ise muzahamat ki alamat kehta hai, koi pabandiyon ka shikar mulk aur koi ek ubharti hui taqat.

Lekin ek baat tay hai ke Iran ko sirf khabron ya social media se samajhna mumkin nahi. Is mulk ko samajhne ke liye yahan ki galiyon, bazaaron, logon aur tareekh ko qareeb se dekhna parta hai.

Dosto, abhi is safar ka aakhri aur sab se jazbati hissa baqi hai. Kyun ke is safar ka sab se bara sabaq yahi hai ke Iran ko kisi ek tasveer mein band nahi kiya ja sakta.

Yeh woh zameen hai jahan tareekh bhi bolti hai, mazhab bhi zinda hai aur jadeed soch bhi apni jagah bana rahi hai.

Iran ek aisa mulk hai jahan ek taraf sadiyon purani masajid aur mazaraat insan ko roohaniyat ka ehsaas dilate hain, aur doosri taraf buland-o-bala imaratein, roshan bazaar aur jadeed zindagi yeh batati hai ke yeh qaum waqt ke sath aage bhi barh rahi hai.

Dosto, haqeeqat yeh hai ke har mulk ke andar ek kashmakash hoti hai. Kabhi riwayat aur jadeediyat ki, kabhi soch aur usoolon ki.

Iran bhi isi kashmakash se guzar raha hai. Magar is ke bawajood yahan ke logon mein apne mulk ke liye mohabbat, ghairat aur wabastagi wazeh tor par nazar aati hai.

Yahan ke log chahe kisi bhi soch ke hon, magar apni tehzeeb, apni zaban aur apni pehchan par fakhr karte hain.

Irani bazaron mein baitha ek aam dukandaar ho ya university mein parhne wali ek taliba, sab ke andar ek cheez mushtarik hai aur woh hai apne mulk se lagao.

Dosto, hum ne is post mein Iran ke mukhtalif pehlu dekhe. Is ki tareekh, is ke shehar, is ke bazar, is ke riwaj, is ke qawaneen aur is ki badalti hui naujawan nasal.

Lekin sab se aham bat yeh hai ke Iran ko samajhne ke liye sirf bahar ki khabron par nahi balki haqeeqat ke qareeb ja kar dekhne ki zaroorat hai.

Kyun ke har muashra, har qaum aur har mulk waqt ke sath badalta rehta hai. Aur jo cheez nahi badalti woh hai is ki pehchan, is ki jarein aur is ki tareekh.

Dosto, Iran humein yeh sabaq deta hai ke duniya ko sirf siyah ya safed mein nahi dekha ja sakta.

Har mulk ke andar khoobsurti bhi hoti hai aur challenges bhi. Taraqqi bhi hoti hai aur ikhtilaf bhi. Lekin asal haqeeqat hamesha in sab ke darmiyan chhupi hoti hai.

Aur aakhir mein dosto, hum dil ki gehraiyon se aap sab ka shukriya ada karte hain ke aap ne is lambe safar mein hamara sath diya.

Share: